Saturday, January 2, 2010

Ghazal

Sabhi ashk aankhon men aa gae,


na chupa saky na bata saky,


Wo jo raaz tha wo khul gya,


koi baat bhi na chupa saky,


Na wafa rahi na jafa rahi,


na wo dil raha na hum rahy,


uski yad ka jo charagh tha,


na jala saky na bujha saky,


Koi zor khud pe raha nahi,


koi bus bhi us pe chala nhi,


usy dekhty rahy door tak,


magar hath tak na hila saky,


Nahi is men uski khata koi,


na naseeb ka koi dosh tha,


Ye humara apna mizaaj tha,


k kisi tarha na nibha sakay.

No comments:

Post a Comment