Ma usko phir naye khuwabon ka jahan de aaya
Zameen bun kr usy aasmaan day aaya
Khuda k wastay milnay ki rah de mujhko
Gham-e-firaq ka her imtayhaan de aaya
Na ki zara bhi wazahat kisi b jazbay ki
Ussy yaqeen tha or ma gumaan day aaya
Woh chahata tha k ho karobaar-e-ishq
Ma usko dard ki sari dukaan day aaya
Bara fareeza tha tableegh-e-ishq meray liye
<== "Faraz" <==
Ma munkiron ki zamee per azaan day aaya..
World Dyslexia Awareness Day. October 8th, 2025 (2025-20)
-
Dyslexia is a learning disability in reading affecting kids and adults
alike. People with Dyslexia have trouble reading at a good pace and without
mistak...
No comments:
Post a Comment